Anis Ul Hassan & Mohsin Raza – Tara Jala (DP Session)

September 29, 2013

Artists: Anis Ul Hassan and Mohsin Raza

Song: Tara Jala (Cover song from Junoon‘s last album ‘Dewaar’)

A JASIM HAIDER PRODUCTION.

Tara Jala Lyrics:

in lamhoon keh peechay
koi to hai lamha aisa bhi
jo begana bhi hai, apna bhi..

jahan tehray yeh lamha
waheen seh to agay jana hai
jisay soocha hai usko pana hai

jaaon main
jakey pal se agay jaaon
jaaon main
agay jakey usko paaon jaaon
agay hi jaaon main

tara tara jala
jala kehkashan ki tarha
teray wastay main
tara tara jala
jala kehkashan ki tarha

jahan manzil hai meri
kabhi to woh duniya dekhoon ga
mujhe kaisey hai jeena dekhoon ga

kabhi dekhoon ga jake
chura keh main peecha kamoon seh
kabhi nikloonga subhoon shamoon seh

jaaon main
jakey pal se agay jaaon
jaaon main
agay jakey usko paaon jaaon
agay hi jaaon main

tara tara jala
jala kehkashan ki tarha
teray wastay main
tara tara jala
jala kehkashan ki tarha

teray saath
nahin..
ghum ki tarha yeh
ghum nahin

teri muhabat kam nahinnn

main tara tara jala
jala kehkashan ki tarha
teray wastay main
tara tara jala
jala kehkashan ki tarha

in lamhoon keh peechay
koi to lamha aisay bhi
jo begana bhi hai
apnaaaaaaaa bhiii eeee

Anis ul Hassan & Mohsin Raza - Tara Jala

Like Anis Ul Hassan on Facebook